Uske bharose pe kadam sambhale
Ussi ne muh me lafz daale
Jab gir jaate the to utha leti hai woh
Jaane kaise zinda hone ka ehsaas dila deti hai woh.
Paise churaaye the kabhi jo papa ki Jeb se
Calculator churaya tha kabhi dadu ki mez se
Bacha kehkar sab chupa leti hai woh
Jaane kaise zinda hone ke ehsaas dila deti hai woh.
Baahon ki koniya ghissa kar jab maidaan se atti thi,
School result milne par paper chupa thi,
Zakhmo pe balm lagakar har galti maaf kar deti thi woh
Jaane kaise zinda hone ke ehsaas dila deti hai woh.
Maine jab khwaab sajaye udne ke
Jab sab khilaaf huye mere sapne ke
Chupke se ghungroo baand deti thi woh
Aur mujhe naachte dekh zindagi jee leti thi woh.
Woh jo ek tha woh choot gaya
Aur tu rab kitna rooth gaya
Jab log tod dete hai hume seene se lagake jodti hai woh
Jaane kaise zinda hone ka ehsaas dila deti hai woh
Aaj ki bhaag daud mein usse bhool gaye hai hum
Usne jawani humpe lootadi bhool chuke hai hum
Phir Bhi adhi raat jaagti hai woh
Khanna khaaya ya nahi bas wahi poochti hai woh.
Mannat maangi thi ek Mannat ki
Rooth gayi hai woh
Jab maa hone ka ehsaas hua tab yaad aayi hai woh.
Woh jo har haal me saath rehti hai
Sirf wahi hai jo apni baahon me sulaati hai
Woh Maa kehlati hai
Woh Maa kehlaati hai